Ek Din Achanak Part 10
Jay ne ek thadi saans bhari aur batana shuru kiya. “ye aaj se do saal pehle ki baat hai. Main tab aisa nahin tha ki sirf padhai padhai karta rahun. Main bhi khel-khud mein hissa leta tha. Infact mein apne school cricket team ka member tha. Roj subah jaldi main aur mera dost Jawed school ke liye nikalte aur practice karte. Padhne mein to hum sab theek the hi. Sab kuch achha chal raha tha jab tak meri mulakat Sonali se nahin huyi.
Pehle nazar mein usko dekhte hi main dil de baitha. Uska wo masoom chehra, wo bholi adayein, wo har samay muskurata hua chehra, gora rang, katilana figure kya batau bas koi ek baar use dekh le to dekhta hi reh jaye. Maine pata chalaya uska to pata chala ki wo dusre section mein padhti hai. Koshish bahut ki use baat karne ki lekin himmat hi nahin huyi. Sab kuch adhura adhura sa lagta tha usko dekhe bina. Practice khatam hone se pehle hi main beech mein chod kar main gate par pahunch jaata aur uski raah dekhta ki kab wo aaye aur kab mujhe uske sunder chehre ke darshan ho. Kayi baar hamari aankhen bhi mili lekin uski taraf se koi positive response na milne ki wajah se man udaas sat ha lekin kam se kam use dekh to sakta hoon isi baat se dil behla leta tha.
Jawed hamari class ka monitor tha aur mera bahut achha dost bhi. Waise uski poore section mein hi chalti thi. School ki cricket team ka captain bhi wahi tha na. Uska rubab aisa tha ki agar wo koi proposal le kar school ke principal ke paas chala jaye to wo inkaar nahin kar sakte the lekin kabhi bhi usne is baat ka galat fayda nahin uthaya.
Haan upar se thoda kathor tha aur hona bhi chahiye tabhi to uska raub banta lekin dil ka bahut saaf tha. Mera jigri dost tha aur hamari dosti to poore school mein mashoor thi. Halanki maine tab bhi ye baat use nahin batayi thi.
Jawed ne kai baar mujhse poocha is baare mein lekin main har baar gol-mol jawaab de kar bach nikalta tha. Din gujarne lage aur saath saath mera uske prati akarshan bhi. Roz subah uske aane ke samay gate par khade hokar usko dekhna aur jaate samay uske aankhon se ojhal ho jaane tak bas uska deedar karna to jaise meri dincharya ban gayi thi. Shayad use bhi samajh mein aa gaya tha ki main roz usi ko dekhta hoon lekin wo kya kahe kyunki maine uske saath koi harkat yaa kuch baat to ki hi nahin thi.
Lekin mera roz roz usko dekhna use bhi achha lagne laga aura b wo akeli aane lagi. Pehle to wo pani saheliyon ke saath aati thi lekin maine kuch dino se notice kiya ki ab wo akeli aane lagi hai. Uske saath jo saheliyan aati thi wo ab yaa to pehle aa jaati thi yaa baad mein aati thi. Lekin main bewkuf itna bhi nahin samajh paya ki wo mujhe uksane ke liye akeli aa rahi hai taaki main himmat karke use baat kar sakun.
Main hamesha yahi samajhta tha ki koi ladki mujhse pyaar kar hi nahin sakti kyunki ek to mera rang sanwla, upar se ye bada chasma jise chah kar bhi nahin utar sakta kyunki use utarne ke baad mujhe kuch saaf dikhai hi nahin deta. School mein sab peeth peeche mujhe lallu, chaparganju aur pata nahin kin kin naamo se bulate the lekin Jawed Bhai mere saath the to kisi ki himmat nahin hoti thi kuch bhi kehne ki. Ye sab baatein mujhe bhi pata thi lekin na to main apna face colour change kar sakta tha aur na hi is chasme se nijaad pa sakta tha. Lekin meri aur Jawed Bhai ki dosti ke beech ye dono cheeze kabhi aade nahin aayi.
Yahi sab sochkar meri himmat hi nahin hoti thi ki main use kuch baat kar sakun bas uski ek jhalak pane ke liye roz gate par khade hona hi mere liye sab kuch tha. Uska aane-jaane ka samay mujhe jubaani yaad ho gaya tha. Apna birthday bhool sakta tha lekin wo samay nahin. Kai baar koshish ki uske paas jaakar baat karne ki lekin wo koshish kabhi koshish se aage hi nahin badh payi. Ise hi apna bhagya samjh kar main bas isi mein khus tha.
Lekin ek din aakhirkar Sonali hi ek din mauka dekhkar mere paas aayi aur mujhse haath milate huye mera naam poocha. Usko yun achanak saamne aakar seedha haath milane se main ek dam hadbada gaya aur bola “Mera naam J.. J…. Jay hai”. Wo ye sunkar khilkhilakar hans padi. Sach mein us samay itni pyaari lag rahi thi ki koi us ek muskurahat ke badle meri jaan bhi maang leta to main hansi khusi usko wo de deta. “Kaafi achha naam tha J..J…Jay. Shayad Shahrukh khan ki movie dekhi hai tumne DARR jisme shahrukh Juhi Chawla ko aise hi bolta hai. Tab tak main normal ho gaya tha aur bola ki aap achanak mere saamne aa gayi to main hadbada gaya.
Usne kuch is tarah se mujhe dekha ki main jhenp gaya aur boli “mere aane se tum kyun hadbada gaye, kya tumne koi chori ki hai jo maine pakad li” aur itna kehkar fir has di. Is baar main bhi hansa saath mein aur usse bola “Nahin bas aise hi. Aapka naam kya hai”.
Sonali usne kaha aur achanak poocha “Tum roz mujhe hi dekhte ho na gate par khade hokar”. Uska itna kehna tha ki meri halat to ye ho gayi ki kaato to khoon nahin. Saari hansi ekdum se gayab ho gayi aur ghabrahat ke saath use kaha “Nahin to main aapko nahin dekhta. Main to apne dost ka intezar karta hun. Wo bahut late aata hai na”. Ye sunkar wo muskurayi aur theek hai bolkar chali gayi kyunki prayer ka time ho gaya tha. Main bhi chal diya.
Iske baad to apni roj hi mulakaten hone lagi. Kabhi gate par baat karte, kabhi park mein chale jaate, kabhi recess mein bahar ghoomne nikal jaate. Din acche kat rahe the aur uske prati aakarshan badhta jaa raha tha mera. Mere liye wo sab kuch ban gayi thi jiske bina ek pal bhi jeena bilkul mushkil lag raha tha. Roz mulakaton ka silsila chalta raha aur hum ek doosre ke kareeb aate rahe. Jawed Bhai ko sab akhar raha tha lekin wo captain the aur class monitor bhi to unke saath kayi jimmedariyan judi thi jiske chalte wo mere saath jyada waqt nahin gujar paate the.
Aakhir kar ek din hum roz ki tarah hi park mein baithe the ki baton baton mein pata nahin mujhme itni himmat kahan se aa gayi ki main use apne pyaar ka ijhaar kar baitha. Usne chaunk kar mujhe dekha aur kaha “Jay hum dono ache dost hai. Maine aisa kabhi tumhare baare mein nahin socha. Please naraaz mat hona.” Mera to dil hi toot gaya ye sab sunkar aur baad mein thodi idhar udhar ki baatein karke wapas apni class mein aa gaya. Uske baad maine gate par jaana chod diya. Kabhi aate jaate mil jaate the to hi-hello se jyada baat hi nahin karta tha. Uske gate par na aane ki wajah poochne par maine bataya ki school ke cricket match hone wale hai dusre school se isliye hum sab uski practice mein busy hain. Time hi nahin mil paata aane ka.
Halanki wo samajh gayi thi lekin wo kar bhi kya sakti thi. Aur main bhi yehi maankar chup baith gaya ki mere jaise ladke se kaun ladki pyaar karna pasand karegi. Bhagwan se baithe baithe shikayat karne laga ki tune mujhe gora kyun nahin banaya. Agar sanwla banana hi tha to ye mota chasma kyun chada diya. Koi bhi meri taraf najar utha kar nahin dekhta. Sab mera majak udate rehte hain. Koi mujhe pyaar nahin karta. Is jeewan se to maut achhi. Aise bekaar ki baatein Jay ke dimaag mein chal rahi thi. Sahi kaha hai kisi ne khali dimaag shaitan ka ghar hota hai. Jab aap khali honge to ulti seedi baatein aapke dimaag mein chakkarghirni ki tarah ghoomti rahengi. Iska ilaaj yehi hai aap khud ko busy rakho kisi bhi roop mein chahe padhai karte raho, chahe khel-khud mein busy raho lekin khali mat baitho.
Yahan Sonali ko ab kuch khalipan sa lagne laga tha apni life mein. Jis din wo Jay ne nahin milti thi poore din bechain rehti thi. Jay kya kar raha hoga. Kya wo bhi mujhe yaad kar raha hoga. Usne to milna-julna ek dum chod diya. Kyun aisa kar raha hai wo. Hum to aaj bhi ache dost hai. Lekin main kyun uske baare mein itna soch rahi hun. Agar nahin baat karta to na sahi. Uske jaise kitne ladke mere aage peeche ghoomte hain. Samajhta kya hai apne aap ko jaise wo bahut busy hai aur main faltu. Uske aage peeche ghoomti rahun. Usse baat karne ke liye main use minnat karun. Lekin kya pata wo sach mein busy ho. Kuch pareshan sa bhi lag raha tha. Aaj lunch kiya hoga ya nahin usne.
Sonali ka dil kabhi uske baare mein sochta aur kabhi uske khilaaf. Wo faisla hi nahin kar paa rahi thi ki wo kya kare. Kya wo bhi pyaar karne lagi hai Jay se. Nahin hum to acche dost hain. Wo mujhse kyun naraaz hoga. Kehte hain pyaar bhi dosti ka hi doosra roop hai. Aap tabhi usse pyaar kar sakte hain jab aap pehle uske ek sacche dost ban sake. Sonali ka man bhi vichlit tha. Kaisa samay aa gaya tha ki dono ek dusre ko pyaar karte the lekin kisi ka dil toot gaya tha to kisi ka dil ye maanne ke liye tayyar nahin tha. Lekin jo hona hota hai wo to hokar hi rehta hai.
To be continued....
Kareem
13-Jan-2022 08:37 PM
Wow
Reply
Swati chourasia
12-Oct-2021 07:14 PM
Very nice 👌
Reply
Shalini Sharma
30-Sep-2021 07:44 PM
Nice
Reply